Wednesday, December 15, 2010

Bhool si gai

Dalee ko chhod kar udi, mahtab ki chah me,
Kat chuke hai par mere, ye bhool hi gai,

Nigahen jamee hai kab se, ek lafz par,
Lafzon  ki pahechan mai bhool si gai,

Nami tairti ankhon me, us ki dekh kar.
Labon par thi hansi, ye bhool hi gai,

Dekha jo aqs us dilnashin ka,
Apni hi pahechan mai bhool si gai

Monday, November 29, 2010

kaise karun...

Housla afzaai teri karun to kaise karun,
Aur nazar andaz bhi tujhe kaise karun,

Ankhon ke motiyon ko jazb kaise karun,
Aur koshish hansne ki bhi kaise karun,

Dil ki baat ko mukhtasar kaise karun,
Aur dil khol kar bhi baat kaise karun,

Dastan e dard e dil ko bayan kaise karun
Bayan kar ke tujhe ruswa bhi kaise karun

Monday, November 8, 2010

Kafee hai...

Khayalon me wo rahe aabad kafee hai,
Dil  me wo basa rahe yahi kafee hai,

mouj e dariya me nahi sath to kya hai,
Sahil pe hai moujood yahi kafee hai,

Guftagu na kare ham se koi bat nahi,
Khamoshi me de sath yahi kafee hai,

Khooshi na bant sake ham koi bat nahi,
Ghamo me wo de sath yahi kafee hai,

Kahan wo mangta hai kuchh ham se,
Rooh me wo basa rahe yahi kafee hai...

Sunday, October 10, 2010

Rona aaya...

Rona aaya...


Ay zindagee ye  kis makam pe  laya tune
Kabhi khood pe kabhi halat pe rona aya

Hai ilm ke noor se roushan meri kaynat
Fir bhi apni nadani pe rona aya

Yun to kamee nahi un ki inayaton ki
Fir bhi apni bechargi pe rona aya,

Housle booland hai un ki tamannaon ke
Fir bhi apni hasraton pe rona aya,

Hai unka tabassum hi kafee jine ke liye
Fir bhi shahin ko apni kahani pe rona aya

Sunday, October 3, 2010

Mushkil...

Yadon ke jo saye utar jate hai dil me,
 Andheron me bhi un ka bichhadna mushkil:

Panno me kitabon ke hai likhe jate jo kisse,
Un fasano ka haqiqat me bhi mitna mushkil:

Alfaz ki dor me bandh jati hai jo gazal,
Un motiyon ka fir hai bikharna mushkil:

Khwabon me jo har roz mila karte hai sanam,
Din ke ujalon me hai un ka milna mushkil:

Kalam meri hai izhaar mere jazbon ka,
Nata is se mera hai tootna mushkil.

Tuesday, September 14, 2010

Zindagi kya hai !!!

Chahat ki justaju hai, to pyar ki guftagu hai,
Natamam khwahishonka ambar hai zindagi,

Masoomiyat hai bachpan ki, to jawani bhi hai zindagi:
Umra e daraz ka padav, budhapa bhi hai zindagi,


Gar sabak hai zindagi, to kitab bhi hai zindagi:
Band kitab ke panno me numayan hai zindagi.

Pyar ka fasana hai, to haqiqat bhi hai zindagi:
Chahat ki unboojhi paheliyon ka silsila hai zindagi.

Milan ka rag hai, to birha ka geet bhi hai zindagi:
An kahe bolon se saji ek ragini hai zindagi


Kali hai, phool hai,kante bhi hai zindagi:
Mousam hai bahar ka, to khizan bhi hai zindagi:

Zindagi gar aks hai, to bar aks bhi hai zindagi:
Aaina e haqiqat me poshida hai zindagi:


Ibtida hai zindagi, to inteha bhi hai zindagi:
Shahin tu parinda hai, to parwaz hai zindagi.

Tuesday, September 7, 2010

Ab khwab ho gai hai, wo rasm edosti,
Ek wahem sa hai ab, ke mere sath tum bhi ho:

Ab kahani ho gai hai, wo haiqat e zindagi,
Ek fasana sa hai ab, ke mere sath tum nhi ho,

Ab dooriyan ho gai wo kurbaten janam ki,
Ek bekhoodi si hai ab, ke mere sath tum bhi ho,

Ab gum ho gaye hai, wo lamhe hamari mulakaton ke,
Ek ahesas sa hai ab, ke mere sath tum bhi ho,

Ab gham ho gai hai, wo khushiyan bahar ki,
Ek khalish si hai ab, ke mere sath tum nahi ho,

Ab hasrat ho gai wo, wo inayaten dost ki,
Ek shikayat si hai ab, ke mere sath tum nahi ho

Saturday, September 4, 2010

Agar...

Kuchh din to baso meri ankhon me,
Fir khwab agar ho jao to kya:

Kuchh rang to do mere chahere ko,
Fir zakhm agar de jao to kya:

Khchh bol to do mere naghmon ko,
Fir khamoshi gar chha jaye to kya:

Kuchh yakeen to do meri dhadkan ko,
Fir dard agar de jao to kya:

Kuchh lamhe to do meri chahat ko,
Fir tanhaai agar de jao to kya:

Tuesday, August 31, 2010

To chalo...

Aasan nahi hai safar, jo chal sako to chalo:
Mushkil hogi rahen, jo chal sako to chalo,

Mushkil rahon me shayad, bichhad bhi jaye ham
Sath chalne ke bad akele rahe sako to chalo,

Sath chalte chalte, thaher bhi jaye ham:
Ruk ruk ke chalne ka, dam ho to chalo,

Rukte huve shayad, kahin kho bhi jaye ham:
Bichhad ke ham se, jeene ka housla ho to chalo:

Bichhad ke tum se yakinan,jee na sakenge ham:
Bina hamre, rahene ka dam ho to chalo.