Rona aaya...
Ay zindagee ye kis makam pe laya tune
Kabhi khood pe kabhi halat pe rona aya
Hai ilm ke noor se roushan meri kaynat
Fir bhi apni nadani pe rona aya
Yun to kamee nahi un ki inayaton ki
Fir bhi apni bechargi pe rona aya,
Housle booland hai un ki tamannaon ke
Fir bhi apni hasraton pe rona aya,
Hai unka tabassum hi kafee jine ke liye
Fir bhi shahin ko apni kahani pe rona aya
mikam, means
ReplyDeleteKafi acha likhti hien ap to mohtarma.... kia bat h dil ko chu gayee apki ghazal
it is makam...was typing mistake...i corrected it...thanks waseem for reading my blog & comment...
ReplyDeleteyu to zindagi me bhi hazaro rang hote hai..... kabhi door to kabhi apne sang hote hai.... karwat badalti hai kismat aise... yaadon ke bhi apne rang hote hai ...........
ReplyDelete