Sunday, November 27, 2011

Kyon

Kyon aye tum zindagi me mere, jab sath mera na dena tha,
Kyon di hansi honthon pe mere, jab ankh me aansoo dena tha,

Kyon bane parchhai mere, jab sath mere na chalna tha,
Kyon bane tum alfaaz mere, jab ashaar mere na banna tha,

Kyon bane tum pankh mere, jab parwaz me sath na dena tha,
Kyon bane tum sansen meri, jab  dil me mere na basna tha,

Kyon bane tum patwaar mere, jab majhdar me sath na dena tha,
Kyon pana chaha maine tumhe, jab tumhe mere na hona tha

Sunday, June 5, 2011

Ham ne kabhi...

Haalat ki gardish me bhi, tere naqsh ko na khoya ham ne kabhi,
Kho diya tha tu ne mujhe, na tujhe khoya tha ham ne kabhi,

Shama e intezar jala rakhi hai, in bechain nigahon me,
Ummeed ke charaghon ko, na bujhaya ham ne kabhi,

Choop hi rahe, haal e dil na kaha, tujh se ham ne kabhi,

Patthar ho gaye hai gham se, na roya hai ham ne kabhi,

Dhoondhte hi rahe tujhe,  har pal anjaan rahon me,
Himakat thi hamari, na paya tha tujhe ham ne kabhi,

Raheguzar pe zindagi ki, jo mil hi gaye ho hamdam,

Bata denge har ek baat, na batai thi ham ne kabhi

Wednesday, May 18, 2011

Kuchh zyzda hi...


Hadsat e zindagi par hamne dastan likh di,
Par bayan kar di hai tafseel kuchh zyzda hi,

Bhoole nahi hai ham, ay hamkhayal tumhe,
Par khayal me rahete ho tum kuchh zyada hi,

Bharosa hai tere wade pe janeman mujh ko,
Par raheta hai intezar tera  kuchh zyada hi,

Khwabon ki tabeer milegi, ummeed hai mujhe,
Par haqiqat ka bhi ahesas hai kuchh zyzada hi,

Zindagi ke safar me thake to nahi ay hamsafar,
Par manzeel bhi lag rahi hai door kuchh zyada hi.

Friday, March 4, 2011

Koun ho aap !!!

 Zindagi ko rang dene wala shagufta phool ho aap,
 Chahere ko nikhar dene wali muskan bhi ho aap,

 Dil ko hararat dene wala sharara bhi ho aap,
 Rooh ko sukun de wali shabnam bhi ho aap,

 Tasweer jis me hai aap ki,wo ankh bh ho aap,
 Aur ankh me chamakne wala moti bhi ho aap,

 Mere khwabon ki rahguzar ke hamrahi ho aap,
 Haqiqat me na milne wala tasavvur bhi ho aap,

 Meri likhi kitab ka unwan bhi ho aap,
 Na likhi  jo gazal us ka sher bhi ho aap,

 Na sulza saki jo sawal, us ka jawab ho aap
 jo bhi ho, jaise bhi ho, bade lajawab ho aap

Wednesday, December 15, 2010

Bhool si gai

Dalee ko chhod kar udi, mahtab ki chah me,
Kat chuke hai par mere, ye bhool hi gai,

Nigahen jamee hai kab se, ek lafz par,
Lafzon  ki pahechan mai bhool si gai,

Nami tairti ankhon me, us ki dekh kar.
Labon par thi hansi, ye bhool hi gai,

Dekha jo aqs us dilnashin ka,
Apni hi pahechan mai bhool si gai

Monday, November 29, 2010

kaise karun...

Housla afzaai teri karun to kaise karun,
Aur nazar andaz bhi tujhe kaise karun,

Ankhon ke motiyon ko jazb kaise karun,
Aur koshish hansne ki bhi kaise karun,

Dil ki baat ko mukhtasar kaise karun,
Aur dil khol kar bhi baat kaise karun,

Dastan e dard e dil ko bayan kaise karun
Bayan kar ke tujhe ruswa bhi kaise karun

Monday, November 8, 2010

Kafee hai...

Khayalon me wo rahe aabad kafee hai,
Dil  me wo basa rahe yahi kafee hai,

mouj e dariya me nahi sath to kya hai,
Sahil pe hai moujood yahi kafee hai,

Guftagu na kare ham se koi bat nahi,
Khamoshi me de sath yahi kafee hai,

Khooshi na bant sake ham koi bat nahi,
Ghamo me wo de sath yahi kafee hai,

Kahan wo mangta hai kuchh ham se,
Rooh me wo basa rahe yahi kafee hai...