Ab khwab ho gai hai, wo rasm edosti,
Ek wahem sa hai ab, ke mere sath tum bhi ho:
Ab kahani ho gai hai, wo haiqat e zindagi,
Ek fasana sa hai ab, ke mere sath tum nhi ho,
Ab dooriyan ho gai wo kurbaten janam ki,
Ek bekhoodi si hai ab, ke mere sath tum bhi ho,
Ab gum ho gaye hai, wo lamhe hamari mulakaton ke,
Ek ahesas sa hai ab, ke mere sath tum bhi ho,
Ab gham ho gai hai, wo khushiyan bahar ki,
Ek khalish si hai ab, ke mere sath tum nahi ho,
Ab hasrat ho gai wo, wo inayaten dost ki,
Ek shikayat si hai ab, ke mere sath tum nahi ho
'ek mere saath tum nahi ho' very touching words..very nice ! keep writing dear.
ReplyDeletefirst congratulations for doing bloging ..
ReplyDeletesecond nice writing use more deep words for nice finishing of the poem...you know poem has to spark which come to the dil...i hope you getting me use the sharp words which tollerate the human life..
bohot khoob, ek wahem sa hai k mere saath tum bhi ho, ye wahem to hamesha rahega :-)
ReplyDeleteachha likhti hai aap bus thoda rythm aur shero me balance rakhiye to zabardast shaerana soch hai aap ki, keep it up.